aarzu hai vafa kare koi
ji na chahe to kya kare koi
gar maraz ho dava kare koi
marne vaale ka kya kare koi
koste hain jale hue kya kya
apne haq men dua kare koi
un se sab apni apni kahte hain
mera matlab ada kare koi
chaah se aap ko to nafrat hai
mujh ko chahe khuda kare koi
us gile ko gila nahin kahte
gar maze ka gila kare koi
ye mili daad ranj-e-furqat ki
aur dil ka kaha kare koi
tum sarapa ho surat-e-tasvir
tum se phir baat kya kare koi
kahte hain ham nahin khuda-e-karim
kyuun hamari khata kare koi
jis men lakhon baras ki huren hon
aisi jannat ko kya kare koi
is jafa par tumhen tamanna hai
ki miri iltija kare koi
munh lagate hi ‘dagh’ itraya
lutf hai phir jafa kare koi
Leave a Reply