aarzu abad hai bikhre khanDar ke aas paas
dard ki dahliz par gard-e-safar ke aas paas
ḳhaar ki har nok ko majruh kar dene ke ba.ad
lauT jaana hai mujhe barg-o-samar ke aas paas
didani hain chahaton ki narm-o-nazuk laghzishen
gardish-e-ayyam men sham-o-sahar ke aas paas
duur ik ḳhamosh basti ki gali men dekhna
hai tamanna mutma.in maḳhdush ghar ke aas paas
chha ga.i tufan ke honTon pe shaitani hansi
dekh kar kashti shikasta si bhanvar ke aas paas
jab koi raushan nishan milta nahin hai dhund men
DhunDhta huun naqsh-e-pa rah-e-guzar ke aas paas
phuul patton ki faza se saj ga.i duniya mari
hai kahan arman mira la.al-o-guhar ke aas paas
be-niyazi vaqt se mujh men na qaa.em ho saki
main sada hazir raha taaza ḳhabar ke aas paas
kucha-e-dildar ka rangin zamana ‘sahni’
aaj bhi abad hai zaḳhm-e-jigar ke aas paas
Leave a Reply