aap ki hasti men hi mastur ho jaata huun main
jab qarib aate ho khud se duur ho jaata huun main
daar par chadh kar kabhi mansur ho jaata huun main
tuur par ja kar kalim-e-tur ho jaata huun main
yuun kisi se apne gham ki dastan kahta nahin
puchhte hain vo to phir majbur ho jaata huun main
apni fitrat kya kahun apni tabiat kya kahun?
dusron ke gham men bhi ranjur ho jaata huun main
mujh ko ‘atish’ bada-o-saghar se ho kya vasta?
un ki ankhen dekh kar makhmur ho jaata huun main
Leave a Reply