• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aap Dil Khol Kar Be-Dad Pe Be-Dad Karen

Aap Dil Khol Kar Be-Dad Pe Be-Dad Karen

aap dil khol kar be-dad pe be-dad karen

aur ham zabt se len kaam na fariyad karen

hashr men us ki nazar ho ga.i nichi ham se

ho sake jin se vo ab shikva-e-jallad karen

kuchh to farma.iye insaf agar hai koi chiiz

aap ko dil se bhula.en to kise yaad karen

dil-e-betab sambhalta hi nahin siine men

ek mazlum ki ab aap kuchh imdad karen

aaj ik qabr pe ‘alim’ ye likha dekha tha

sakin-e-gulshan-e-hasti na mujhe yaad karen

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jab Bhi Aata Hai Wo Mere Dhyan Mein

poet

Kisht-E-Dil Viran Sahi tuKHm-E-Hawas Boya Nahin

Umr Bhar Chalte Rahe Hum Waqt Ki Talwar Par

Lutf Hi Lutf Hai Jo Kuchh Hai Inayat Ke Siwa

Bad-Guman Mujhse Na Ai Fasl-E-Bahaaran Hona

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet