aao ham tum ishq ke iz.har ki baten karen
Daal kar banhon men bahen pyaar ki baten karen
phuul ki baten karen gulzar ki baten karen
pyaar ki baten karen bas pyaar ki baten karen
baat ham donon ko ye to sochni hi chahiye
pyaar ke mausam men kyuun takrar ki baten karen
is se achchhi baat koi aur ho sakti nahin
yaar ka afsana chheḌen yaar ki baten karen
kaash bachpan luuT aa.e aur ham sab baiTh kar
kachchi miTTi ke dar-o-divar ki baten karen
shukriya bazariyat ki raushni ka shukriya
gaanv ki pagDanDiyan bazar ki baten karen
ka.aba-o-kashi ke qisse ho chuke ab bas karo
aao ‘qaisar’ naqsh-e-pa-e-yar ki baten karen
Leave a Reply