ankhon ka bhi ham se kabhi parda nahin rakkha
milne ka bhi lekin koi rasta nahin rakkha
vo zakhm diye bad-e-saba ne ki shajar ne
patta bhi sar-e-shakh-e-tamanna nahin rakkha
ham ne to bahut saaf kiya aaina dil ka
us ne magar aine men chehra nahin rakkha
divar uthai agar alfaz ki us ne
bhule se bhi maani ka daricha nahin rakkha
duniya ke liye baagh laga daale hain ‘fakhir’
apne liye ik shakh ka saaya nahin rakkha
Leave a Reply