• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aankhen Raushan Lahje Ras Ke Pyale Ji

Aankhen Raushan Lahje Ras Ke Pyale Ji

ankhen raushan lahje ras ke pyale ji

ye hain log mohabbat karne vaale ji

kisi kisi ka husn nashila hota hai

kuchh sha.ir bhi hote hain matvale ji

lamha lamha jakḌa jaata huun in men

yaden hain ya hain makḌi ke jaale ji

us ki aankh se aansu ban kar bah nikle

mere paanv men paḌne vaale chhale ji

raton ka ahval kahan chhup sakta hai

sab kah dete hain ankhon ke haale ji

main ne hans kar Taal diya go logon ne

aap ke naam ke patthar ḳhuub uchhale ji

gangu teli aas laga.e baiTha hai

jaa.e raaja bhoj to raaj sambhale ji

aap ne ghola zahar fazaon men lekin

ham ne phuul ugaa.e buuTe paale ji

jang ki baten karne vaalo yaad rahe

bachte hain bas aahen aansu naale ji

aag ugalte saanp ka shikva beja hai

main ne to bas apne phuul sambhale ji

baap ki aankh se mere aansu Tapke the

bas us din se honTon par hain taale ji

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

afsar-merathi

Aks Hai Be-Tabiyon Ka dil Ki Armanon Mein Kyun

poet

Ab Kyun Harim-E-Naz Mein Sarmastiyan Nahin

Karte Hain Wahi Log Jahan Taza-Tar Aabaad

beena-goindi

Chandni-Raat Mein Bulaun Tujhe

Ghaneri Chhanw Ke Sapne Bahut Dikhae Gae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet