• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aankhen Khuda Ne Bakhshi Hain Rone Ke Waste

Aankhen Khuda Ne Bakhshi Hain Rone Ke Waste

poet

ankhen khuda ne bakhshi hain rone ke vaste

do kashtiyan mili hain dubone ke vaste

uryan chalun main qabr men sone ke vaste

kaafi hai mujh ko post bichhaune ke vaste

kushton ke khet men jo huzur aaj hans pade

moti ke daane mil gae bone ke vaste

niind ud gai hai rang-e-talai ki yaad men

paras ka surma chahiye sone ke vaste

afsun se samri ko jalate hain vasl men

jaadu jaga rahe hain vo tone ke vaste

tadpa main khaak par to kiya charkh ne karam

bijli girai mere bichhaune ke vaste

khvabidgan-e-khak hain giryan mazar par

soton ki ankhen khul gaiin rone ke vaste

ye ghul ke mar gaya huun ki mera kafan tamam

jaala bana hai qabr ke kone ke vaste

jiina hai sab ko maut hai tasvir ki tarah

naqshe jame hue hain na hone ke vaste

sangin dili se champai rangon ki hai chamak

sang-e-mahak zarur hai sone ke vaste

goya zaban huun dahan-e-rozgar men

kya kya maze mile mujhe khone ke vaste

naqsh-e-nagin-e-mohr mira naqsh-e-ab hai

paida hua huun naam dubone ke vaste

danton ke ishq men hai ye ighraq-e-laghari

dauda huun motiyon ke pirone ke vaste

chakki lagi hai bosa-e-husn malih ki

zakhmon ke munh khuli hain salone ke vaste

maila hai farsh par to mah-e-aj mai-kasho

laao sharab chandni dhone ke vaste

shayad karenge chashma-e-khurshid men vo ghusl

shabnam chali hai paani samone ke vaste

us husn-e-pur-namak men ajab hai numud-e-khat

dekha hujum-e-mor salone ke vaste

qarun ka bhi khazana luta dijiye ‘munir’

mumsik ka maal lutiye khone ke vaste

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Hawa Mein Zor Udhar Sud-O-Ziyan Ka

Dil-E-Diwana Arz-E-Haal Par Mail to Kya Hoga

poet

Pa-Barahna Hain Ab Ke Jangal Mein

poet

Sham Guzri Hai Abhi Gham Ki Sahar Baqi Hai

Munhadim Hoti Hui Aabaadiyon Mein Fursat-E-Yak-KHwab Hote

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet