aankh tikti na thi chehre pe hasin aisa tha
dil ki duniya men koi jalva-nashin aisa tha
dastaras men thi magar pa na saka vo mujh ko
dil men ik umr se vo shakhs makin aisa tha
ahd-o-paiman se mukarne ka saliqa tha use
deta rahta tha dalilen vo zahin aisa tha
ab to banjar hua viran hua barbad hua
khitta-e-dil kabhi shadab-zamin aisa tha
mujh ko jagir samajhta tha vo apni janan
main usi ki huun use mujh pe yaqin aisa tha
Leave a Reply