• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aankh Mein Dahshat Na Thi Hath Mein KHanjar Na Tha

Aankh Mein Dahshat Na Thi Hath Mein KHanjar Na Tha

aankh men dahshat na thi haath men ḳhanjar na tha

samne dushman tha par dil men koi Dar na tha

us se bhi mil kar hamen marne ki hasrat rahi

us ne bhi jaane diya vo bhi sitamgar na tha

ik pahaḌi pe main baiTha raha der tak

shauq se dekha karun aisa bhi manzar na tha

ham se jo aage ga.e kitne mehrban the

duur talak raah men ek bhi patthar na tha

raat bahut der se aankh lagti thi zara

niind men kamra na tha ḳhvab men bistar na tha

sher to ham ne bahut Thiik kiya tha magar

ab bhi ghalat tha kahin ab bhi barabar na tha

socha tha is baar to ja ke ‘zafar’ se milen

kya karen ‘alvi’ magar aisa muqaddar na tha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ghafil Dil Aur Ishq Ki rasMein

Hum Bhi the Gosha-Gir Ki Gumnam the Bahut

Shauq Raaton Ko Hai Darpai Ki Tapan Ho Jaun

Raqs Yak Nur Kabhi Sail-E-Bala Dekhta Hun

poet

Agar Sabit-Qadam Ho Ishq Mein Jiyun Shama Jal Sakiye

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet