Aankh Ke Tare TuT Gae aankh ke taare TuuT ga.e ḳhvab hamare TuuT ga.e kal maujon men jang hui aur kinare TuuT ga.e qatra qatra barf bana aur favvare TuuT ga.e meri palkon se gir ke aansu saare TuuT ga.e ‘hafiz’ vaqt bura aaya dekh saare TuuT ga.e
Leave a Reply