aanch to diye ki thi sardiyon ki shamon men
varna dhuup kab utri sardiyon ki shamon men
haath se kabutar to phir uda diya main ne
rah gai hai tanhai sardiyon ki shamon men
hijr aur hijrat ko odh kar bhi dekha hai
saans tak na chalti thi sardiyon ki shamon men
sard garm lamhon ki aag tapte the ham
vo jo ik rasoi thi sardiyon ki shamon men
aaj der tak sulgi teri yaad ki khushbu
dil ki baat dil se thi sardiyon ki shamon men
Leave a Reply