
Vikram Sharma
aam mauqon pe na ankhon men ubhare aansu
hijr jis se bhi ho par tujh pe hi vaare aansu
zabt ka hai jo hunar main ne diya hai tum ko
meri ankhon se nikalte hain tumhare aansu
kyon na ab hijr ko main ibtida-e- vasl kahun
aankh se main ne qaba jaise utare aansu
dusre ishq ki surat nahin dekhi jaati
dhundhle kar dete hain ankhon ke nazare aansu
aankh ki jhiil sukhati hai tiri shab ki dhuup
marne lagte hain vahan pyaas ke maare aansu
bin tere ankhon ko sahra na bana baiThun main
rote rote na ganva duun kahin saare aansu
mujh farebi ko jo tu ne ye mohabbat di hai
aankh se girte hain ab sharm ke maare aansu
raat hoti hai to uThti hain ziyada lahren
aur aa jaate hain palkon ke kinare aansu

Leave a Reply