Aaj Barson Mein to Qismat Se Mulaqat Hui

aaj barsoñ meñ to qismat se mulāqāt huī

aap muñh pher ke baiThe haiñ ye kyā baat huī

uḌ ga.ī ḳhāk-e-dil-o-jāñ to vo rone baiThe

bastiyāñ jal ga.iiñ jab TuuT ke barsāt huī

tum mire saath the jab tak to safar raushan thā

sham.a jis moḌ pe chhūTī hai vahīñ raat huī

is mohabbat se milā hai vo sitamgar ham se

jitne shikve na hue utnī mudārāt huī

ek lamha thā ajab us kī shanāsā.ī kā

kitne nādīda zamānoñ se mulāqāt huī

qatl ho jaatī hai is daur meñ dil kī āvāz

mujh pe talvār na TuuTī ye karāmāt huī

gaañv ke gaañv bujhāne ko havā aa.ī thī

mere ma.asūm charāġhoñ se shurūāt huī

shā.erī pahle rasūloñ kī duā thī ‘qaisar’

aaj is ahd meñ ik sho.abda-e-zāt huī

Leave a Comment