aa.hen bharenge ham kabhi naala karenge ham
jab tak na boliyega pukara karenge ham
duniya ko diin diin ko duniya karenge ham
tere banenge ham tujhe apna karenge ham
kuchh hai to yadgar-e-mohabbat yahi sahi
vo chhoḌ den sitam bhi to phir kya karenge ham
da.ave baḌe hain tum ko javani ki niind par
achchha to aaj raat ko naala karenge ham
dil aisa saath khela hua dost aur dagha
ab kya kisi pe ḳhaak bharosa karenge ham
phir taliban-e-did ko ankhen fuzul den
jab aap janne the ki parda karenge ham
tinke chune kabhi to kabhi ḳhaak uḌaa.i hai
‘manzar’ na jaane aur abhi kya karenge ham
Leave a Reply