• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aaghaz-E-Gul Hai Shauq Magar Tez Abhi Se Hai

Aaghaz-E-Gul Hai Shauq Magar Tez Abhi Se Hai

aghaz-e-gul hai shauq magar tez abhi se hai

ya.ani hava-e-bagh junun-ḳhez abhi se hai

josh-e-talab hi maujib-e-darmandagi na ho

manzil hai duur aur qadam tez abhi se hai

kya irtibat-e-husn-o-mohabbat ki ho umiid

vo jan-e-shauq ham se kam-amez abhi se hai

tartib-e-karvan men bahut der hai magar

avaza-e-jaras hai ki mahmez abhi se hai

pahli hi zarb-e-tesha se koh-e-giran hai chuur

hasrat-ma.al satvat-e-parvez abhi se hai

kya jaane mai-kashon ka ho kya hashr sub.h tak

saaqi ki har nigah dil-avez abhi se hai

ye ibtida-e-shauq ye pur-shauq dil mira!

ik jam-e-atishin hai ki labrez abhi se hai

‘tabish’ bhari bahar men koi bichhaḌ gaya

ab ke chaman men bu-e-ḳhizan tez abhi se hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

yasmeen-hameed

Misal-E-Aks Mere Aaine Mein dhalta Raha

tasneem-abidi

Tamam Umr-E-Rawan Ka Mal Hairat Hai

poet

deta Nahin dil Le Ke Wo Maghrur Kisi Ka

poet

Main Na Samjha Bulbul Be-Baal-O-Par Ne Kya Kaha

shahryar

Faisle Ki Ghadi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet