aag dekhun kabhi jalta hua bistar dekhun
raat aa.e to yahin ḳhvab-e-mukarrar dekhun
ek bechain samundar hai mire jism men qaid
TuuT jaa.e jo ye divar to manzar dekhun
raat gahri hai bahut raaz na degi apna
main to suraj bhi nahin huun ki utar kar dekhun
ḳhud pe kya biit ga.i itne dinon men tujh bin
ye bhi himmat nahin ab jhank ke andar dekhun
koi is daur men elan-e-nabuvat karta
aarzu thi ki ḳhuda-saz payambar dekhun
ek sannaTa huun patthar ke jigar men paivast
main koi but to nahin huun ki nikal kar dekhun
yuun nashe se kabhi do chaar tira gham ho ki main
band ankhon se khuli aankh ka manzar dekhun
oḌh kar ḳhaak ‘mujibi’ sunun dushnam-e-jahan
ye tamasha hi kisi roz miyan kar dekhun
Leave a Reply