afaton men ghir gaya huun ziist se be-zar huun
main kisi ruman-e-gham ka markazi kirdar huun
muddaton kheli hain mujh se gham ki bedard ungliyan
main rabab-e-zindagi ka ik shikasta taar huun
dusron ka dard ‘aḳhtar’ mere dil ka dard hai
mubtala-e-gham hai duniya aur main gham-ḳhvar huun
Leave a Reply