aadhi aag aur aadha paani ham donon
jalti-bujhti ek kahani ham donon
mandir masjid girja-ghar aur guru-dvara
lafz ka.i hain ek ma.ani ham donon
ruup badal kar naam badal kar aate hain
faani ho kar bhi la-fani ham donon
gyani dhyani chatur siyani duniya men
jiite hain apni nadani ham donon
aadha aadha baanT ke jiite rahte hain
raunaq ho ya ho virani ham donon
nazar lage na apni jagmag duniya ko
karte rahte hain nigarani ham donon
ḳhvabon ka ik nagar basa lete hain roz
aur ban jaate hain sailani ham donon
tu savan ki shoḳh ghaTa men pyasa ban
chal karte hain kuchh man-mani ham donon
ik-duje ko roz sunate hain ‘danish’
apni apni ram-kahani ham donon
Leave a Reply