Aadat Meri Duniya Se Chhupane Ki Nahin Thi

aadat mirī duniyā se chhupāne kī nahīñ thī

vo baat bhī kah dī jo batāne kī nahīñ thī

maiñ ḳhush huuñ bahut gard ko ā.īne pe rakh kar

dī vo mujhe sūrat jo dikhāne kī nahīñ thī

ham khā ga.e dhokā tirī āñkhoñ kī namī se

vo choT dikhā dī jo dikhāne kī nahīñ thī

achchhā huā niiñd aa ga.ī arbāb-e-vafā ko

aage ye kahānī bhī sunāne kī nahīñ thī

yuuñ dil ko kiyā sho.ala-e-ġham tere havāle

is ghar meñ koī chiiz bachāne kī nahīñ thī

kuchh is liye apnā na sakā is ko zamāna

‘saulat’ kī jo aadat thī zamāne kī nahīñ thī

Leave a Comment