• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aabaad Gham-O-dard Se Virana Hai Us Ka

Aabaad Gham-O-dard Se Virana Hai Us Ka

poet

abad gham-o-dard se virana hai us ka

tuuta hua jo dil hai vo kashana hai us ka

jis dil men ki hai shauq vo paimana hai us ka

jis aankh men hai kaif vo mai-khana hai us ka

jab dekhiye kahta hai vahi zikr sunao

maalum hua shauq bhi divana hai us ka

behosh agar main huun to ba-hosh kahan hai

jo khalq hai is dahr men divana hai us ka

din-rat hai ye maskan-e-anvar-e-tasavvur

siina jise kahte hain pari-khana hai us ka

joban ki safai se phisalti hain nigahen

padti hai jidhar aankh pari-khana hai us ka

ai dil havas-e-vasl se mushtaq hain mahrum

jaan avval-e-didar men begana hai us ka

jo sina-e-raushan hai vo hai manzil-e-ulfat

jo dil sifat-e-shama hai parvana hai us ka

kahte hain jise husn vo hai shama-e-jahan-tab

kahte hain jise ishq vo parvana hai us ka

jab fasl-e-gul aati hai sada deti hai vahshat

zanjir ka gul nala-e-mastana hai us ka

dekha to safar ruuh ko hota hai usi se

kahte hain jise maut vo parvana hai us ka

gauhar se fuzun dida-e-ashiq ke hain aansu

daman men hai maashuq ke jo daana hai us ka

kuchh rutba-e-ashiq se bhi ai jaan ho khabar-dar

saman kai rose se shahana hai us ka

munh ashiq-e-sadiq ke na chadh vaiz-e-makkar

har haal men jo haal hai rindana hai us ka

agah nahin qissa-e-mansur se ai dil

dushman hon zan-o-mard vo yarana hai us ka

kya puchhte ho hal-e-‘nasim’-e-jigar-afgar

dekha jise khush-vaza vo divana hai us ka

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

afeef-siraj

Hum Ahl-e-Nazara Sham-O-Sahar Aankhon Ko Fidya Karte Hain

mirza-ghalib

dekh Kar dar-Parda Garm-E-daman-Afshani Mujhe

poet

Zindagi Ka Jamal Dekha Bhi

ahsan-lakhnavi

Jo Jo Shuur-e-Zehn Pe Aata Chala Gaya

Ek KHwab Ka KHayal Hai Duniya Kahen Jise

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet