• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aaali Ji Ab Aap Chalo Tum Apne Bojh uThae

Aaali Ji Ab Aap Chalo Tum Apne Bojh uThae

‘a.ali’ ji ab aap chalo tum apne bojh uTha.e

saath bhi de to aḳhir pyare koi kahan tak jaa.e

jis suraj ki aas lagi hai shayad vo bhi aa.e

tum ye kaho ḳhud tum ne ab tak kitne diye jala.e

apna kaam hai sirf mohabbat baaqi us ka kaam

jab chahe vo ruThe ham se jab chahe man jaa.e

kya kya rog lage hain dil ko kya kya un ke bhed

ham sab ko samjhane vaale kaun hamen samjha.e

ek isi ummid pe hain sab dushman dost qubul

kya jaane is sada-ravi men kaun kahan mil jaa.e

duniya vaale sab sachche par jiina hai us ko bhi

ek gharib akela paapi kis kis se sharma.e

itna bhi majbur na karna varna ham kah denge

o ‘a.ali’ par hansne vaale tu ‘ali’ ban jaa.e

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

momin-khan-momin

Chal Pare Hat Mujhe Na dikhla Munh

poet

Ye Bhi Karna paDa Mohabbat Mein

poet

Ba-Hosh Wahi Hain Diwane Ulfat Mein Jo Aisa Karte Hain

Tum Dil Ki Dil Mein Rakkho Bataya Nahin Karo

shah-naseer

Chhoda Na Tujhe Ne Ram Kya Ye Bhi Na Hua Wo Bhi Na Hua

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet