aa gaya kaun sar-e-bazm ye saaqi ban ke
zindagi jhuum uThi turfa sharabi ban ke
ek sangin haqiqat hai mira ḳhun-e-junun
daman-e-gul men mahakta hai kahani ban ke
ab to mahrumi-e-daman nahin dekhi jaati
tum baras jaao kabhi yadon ke moti ban ke
aaj jo shirin adaon men basar hoti hai
kal yahi jaam men ghul ja.egi talḳhi ban ke
ku-ba-ku DhunDhegi ik roz nigah-e-duniya
ham jo qurbat men tiri kho ga.e duuri ban ke
aa.ina jab bhi koi un ke muqabil hoga
ham utar ja.enge aks-e-ruḳh-e-mazi ban ke
TuuT ja.enge bahut vaqt ke shane ‘nazim’
ham bikhar ja.enge jab kakul-e-geti ban ke
Leave a Reply