
Farhat Shahzad
ek bas tu hi nahin mujh se ḳhafa ho baiTha
main ne jo sang tarasha tha ḳhuda ho baiTha
uTh ke manzil hi agar aa.e to shayad kuchh ho
shauq-e-manzil to mira abla-pa ho baiTha
maslahat chhin li hai quvvat-e-guftar magar
kuchh na kahna hi mira meri ḳhata ho baiTha
shukriya ai mire qatil ai masiha mere
zahr jo tu ne diya tha vo dava ho baiTha
jan-e-shahzad ko min-jumla-e-a.ada pa kar
huuk vo uTThi ki ji tan se juda ho baiTha

Leave a Reply