shu.ur-o-fikr ki tajdid ka guman to hua
chalo ki fan ka ufuq kisht-e-za.afran to hua
bala se le uḌi mujh ko shua-e-nur-e-sahar
fasil-e-shab se guzar kar main be-karan to hua
ye kam nahin hai ki main huun ḳhalaon ka hamraz
mire vajud men gum saara asman to hua
ye Thiik hai ki fana ho gaya vajud us ka
magar vo qatra samundar ka raz-dan to hua
tamam harf-o-nava men simaT gaya lekin
hamara gham bhi bikhar kar gham-e-jahan to hua
junun-e-shauq to maslub ho gaya lekin
har ek lamha mah-o-sal par garan to hua
hamare saath hi bikhra hamari zaat ka karb
ye raaz lafzon ke ambar se ayaan to hua
main un ke samne a.ina ban gaya ‘farhat’
ḳhud apni shakl pe un ko mira guman to hua
Leave a Reply