tira jalva sham-o-sahar dekhte hain
saliqe se shams-o-qamar dekhte hain
pahunchna hai dil tak nazar dekhte hain
kidhar dekhna tha kidhar dekhte hain
mohabbat ka un par asar dikhte hain
mila kar nazar se nazar dekhte hain
tujhe dekhne vaale yuun to bahut hain
magar ham ba-rang-e-digar dekhte hain
jo hain nukta-chin vo karen nukta-chini
jo ahl-e-hunar hain hunar dekhte hain
abhi tak to ji ham ne khoya nahin hai
abhi zabt-e-gham ka asar dekhte hain
unhen meri ‘farhat’ ḳhabar ho to kyunkar
jo aḳhbar paḌh kar ḳhabar dekhte hain
Leave a Reply