• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Huzn-E-Insan

Huzn-E-Insan

noon-meem-rashid

jism aur ruuh men ahang nahin

lazzat-andoz-e-dil-avezi-e-mauhum hai to

khasta-e-kashmakash-e-fikr-o-amal

tujh ko hai hasrat-e-izhar-e-shabab

aur izhar se maazuri bhi hai

jism neki ke khayalat se mafrur bhi hai

is qadar saada o maasum hai tu

phir bhi neki hi kiye jaati hai

ki dil o jism ke ahang se mahrum hai tu

jism hai ruuh ki azmat ke liye zina-e-nur

mamba-e-kaif-o-surur

na-rasa aaj bhi hai shauq-e-parastar-e-jamal

aur insan hai ki hai jada-kash-e-rah-e-tavil

ruh-e-yunan pe salam

ik zamistan ki hasin raat ka hangam-e-tapak

us ki lazzat se agah hai kaun

ishq hai tere liye naghma-e-kham

ki dil o jism ke ahang se mahrum hai tu

jism aur ruuh ke ahang se mahrum hai tu

varna shab-ha-e-zamistan abhi be-kar nahin

aur na be-sud hain ayyam-e-bahar

aah insan ki hai vahmon ka parastar abhi

husn bechare ko dhoka sa diye jaata hai

zauq-e-taqdis pe majbur kiye jaata hai

tuut jaenge kisi roz mazamir ke taar

muskura de ki hai tabinda abhi tera shabab

hai yahi hazrat-e-yazdan ke tamaskhur ka javab

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Gham Ki Saughat Hai KHamoshi Hai

Jo Aae Wo Hisab-E-Ab-O-Dana Karne Wale The

Alam Ka Bojh uThae Safar Mein Rahta Hai

Hun Main Bhi Wahi Mera Muqabil Bhi Wahi Hai

akhtar-hoshiyarpuri

Aag Chulhe Ki Bujhi Jati Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet