ḳhushbu sa badan yaad na sanson ki hava yaad
ujḌe hue baghon ko kahan bad-e-saba yaad
aati hai pareshani to aata hai ḳhuda yaad
varna nahin duniya men koi tere siva yaad
jo bhule se bhule hain magar tere alava
ik bichhḌa hua dil hamen aata hai sada yaad
main to huun ab ik umr se pachhtavon ki zad men
kya tum ko bhi aati hai kabhi apni ḳhata yaad
mumkin hai bhala kaise ilaj-e-gham-e-janan
jab koi dava yaad na hai koi dua yaad
Leave a Reply