ankhon ankhon men baat hone lagi
ḳhali nindon se raat hone lagi
us ki nazron men nashsha tha aisa
bartaraf ka.enat hone lagi
har taraf zehn-o-dil ke goshe men
haan aur na ki bisat hone lagi
jab kabhi mil ga.e vo qismat se
phir zamane ki baat hone gali
aur bichhḌe to kuchh talab aisi
reza reza ye zaat hone lagi
na kabhi hal-e-dil kaha ab to
zindagani ki raat hone lagi
Leave a Reply