ham jise samajhte the sa.i-e-ra.egan yaaro
ab usi se milna hai apna kuchh nishan yaaro
ruk sake to mumkin hai naghmagi men Dhal jaa.e
uTh rahi hai sinon men shorish-e-fughan yaaro
kya ḳhayal hai tum ko kya malal hai tum ko
puchhta koi tum se kyuun huun sargiran yaaro
barq se tasadum ka vaqt aa hi ja.ega
DhunDte rahoge tum barq se amaan yaaro
sach se pyaar karne ka hausla nahin hai aur
maslahat ki rahon se dil hai bad-guman yaaro
kuchh surur to hoga koi nuur to hoga
jis se zulmat-e-shab men dil hai naghma-ḳhvan yaaro
kam-sabat hoti hai tazgi-o-ra.ana.i
der tak nahin rahta sub.h ka saman yaaro
Leave a Reply