namak ki roz malish kar rahe hain
hamare zaḳhm varzish kar rahe hain
suno logon ko ye shak ho gaya hai
ki ham jiine ki sazish kar rahe hain
hamari pyaas ko raani bana len
ka.i dariya ye koshish kar rahe hain
mire sahra se jo badal uThe the
kisi dariya pe barish kar rahe hain
ye sab paani ki ḳhali botalen hain
jinhen ham nazr-e-atish kar rahe hain
abhi chamke nahin ‘ghalib’ ke juute
abhi naqqad polish kar rahe hain
tiri tasvir, pankha, mez, muflar
mire kamre men gardish kar rahe hain
Leave a Reply