dil jaa.e magar dhyan buton ka nahin jaata
sar jaa.e magar ishq ka sauda nahin jaata
sach kahte hain sab log mohabbat ko bura hai
hal-e-dil-e-bimar to dekha nahin jaata
ye kah ke vo balin se mire uTh ga.e afsos
kambaḳht tira haal to dekha nahin jaata
kya denge vo mere dil-e-sozan ko tasalli
siine pe mire haath to rakkha nahin jaata
tum chahte ho hosh men ashiq ko jo laana
kyon laḳhlaḳha-e-zulf sunghaya nahin jaata
tu samne mere nahin aata hai ye andher
ankhon hi men rah ke tira parda nahin jaata
ghash kha ke kalim ek hi jalve men gire tum
ab bhi arini ka tumhen da.ava nahin jaata
Leave a Reply