har ek shai ki haqiqat se ba-ḳhabar dekhun
main apni ḳhaak men pinhan tujhe bhi gar dekhun
ye kya ki haat baḌha.un to sang-reze milen
kahin to main bhi damakte hue guhar dekhun
ho aankh men kisi chehre ka Dubta manzar
main paniyon men muqayyad kisi ka ghar dekhun
tamam umr usi saa.e ki talash karun
ki jis ko dekhna chahun to dar-ba-dar dekhun
nazar ke samne jab ho na koi tere siva
main teri samt na dekhun to phir kidhar dekhun
hai aarzu yahi ‘asif’ ki rah-e-zulmat men
use bhi apni tarah main kabhi niDar dekhun
Leave a Reply