tum achchhe masiha ho dava kyuun nahin dete
be-nur jo hai sham.a bujha kyuun nahin dete
be-nam huun be-nang huun zahir to hai tum par
gar rabt nahin dil se bhula kyuun nahin dete
ḳhushbu ki tarah phuul ki uTThunga chaman se
to phuul ko zulfon se gira kyuun nahin dete
pahunchunga kashakash men jahan tum ne bulaya
tum hashr ke maidan se sada kyuun nahin dete
mahfil men agar raunaq-e-mahfil hai koi aur
ye baat bhi mahfil ko bata kyuun nahin dete
ik buund si larzan hai sar-e-chashm-e-tamanna
nayab nahin aab gira kyuun nahin dete
na-karda gunahon ki saza maut mili hai
phir karda-gunahon ki saza kyuun nahin dete
zaḳhmon ko mire dil pe agar dekh liya hai
daman se vafaon ki hava kyuun nahin dete
dekha tha kabhi ham ne mohabbat ka janaza
baaqi hai agar kuchh to dikha kyuun nahin dete
har lamha hamara hi fasana hai zaban par
ham kuchh bhi nahin hain to bhala kyuun nahin dete
kar lenge har ik manzil-e-dushvar ko sar ham
ik jaam mohabbat ka pila kyuun nahin dete
Leave a Reply