ishq kab apne maqasid ka nigahban na hua
kaun sa gham hai jo aḳhir gham-e-janan na hua
laakh chaha magar afsos ki aansu na thame
zabt-e-gham mujh se ba-qadr-e-gham pinhan na hua
teri ishrat hai ki gardun ke daba.e na dabi
mera gham hai ki hansi men bhi numayan na hua
gham-e-duniya gham-e-uqba gham-e-hasti gham-e-maut
koi gham bhi to harif-e-gham-e-janan na hua
zarre zarre se ye elan-e-pareshani hai
mutma.in ḳhaak vo hoga jo pareshan na hua
jis ke daman se hai vabasta mira zauq-e-hayat
vo bhi kafir mire me.aar ka insan na hua
main raha garche har ehsas pe masruf-e-sujud
koi sajda bhi tiri shaan ke shayan na hua
barf-zar-zor-o-daulat ka har afsurda zamir
zamzamon se mire kab sho.ala-ba-daman na hua
barq nakam mah-o-mehr kavakib mayus
na hua mere nasheman men charaghan na hua
mere taḳhliq-e-adab men hai qasida madum
mujh se ‘ehsan’ kisi vaqt ye isyan na hua
Leave a Reply