soz-e-junun ko dil ki ghiza kar diya gaya
ik zahr-e-jan-talab ko dava kar diya gaya
nasur bhar sake na fughan zabt ho saki
jab nai ko nistan se juda kar diya gaya
ahl-e-vafa men maut ki talḳhi ko sar-ba-sar
qandab-e-zindagi se siva kar diya gaya
azbar kara diya hai ḳhizan ko nisab-e-gul
sarsar ko dars de ke saba kar diya gaya
suraj se rang rang ki kirnen bikher kar
miTTi ka zard khet hara kar diya gaya
lahki azaan bajne lage raston ke farsh
kirnon ko qaid-e-shab se riha kar diya gaya
ruh-e-bahar ḳhun-e-shahidan ka rang dekh
ḳhak-e-chaman ko lala-qaba kar diya gaya
Leave a Reply