paani paani ho gaya josh abr-e-dariya-bar ka
dekh kar tufan hamare dida-ha-e-zar ka
chashm-e-hamdardi mariz-e-ishq in ankhon se na rakh
kaam kya nikle bhala bimar se bimar ka
dil se hamdam ne rah-e-ulfat men ye dhoka diya
kya kare ab koi duniya men bharosa yaar ka
dil diya jis ko usi ne dagh-e-mayusi diya
raas hi aaya na ham ko haa.e karna pyaar ka
ya miTaya us ka likhvaya main ḳhud hi miT gaya
ai muqaddar ab to ye sar aur dar hai yaar ka
ham ne ‘kaifi’ ḳhuub hi ankhen laḌa.in us se kal
kar diya saara hiran nashsha nigah-e-yar ka
Leave a Reply