tum mujhe pahan sakte ho
ki main ne apne aap ko
dhule hue kapde ki tarah
kai dafa nichoda hai
kai dafa sukhaya hai
tum mujhe chaba sakte ho
ki main chusne vaali goli ki tarah
apni mithas ki tah ghula chuki huun
tum mujhe rula sakte ho
ki main ne apne aap ko qatl kar ke
apne khuun ko paani paani kar ke
ankhon men jhiil bana li hai
tum mujhe bhuun sakte ho
ki meri boti boti
tadap tadap kar
zindagi ki har saans ko
alvidaa kah chuki hai
tum mujhe masal sakte ho
ki roti sukhne se pahle
khasta ho kar bhurnhuri ho jaati hai
tum mujhe taaviz ki tarah
ghol kar pi jaao
to main kalisaon men bajti ghantiyon men
isi tarah tulua hoti rahungi
jaise gul-e-aftab
Leave a Reply