kab ḳhamoshi ko mohabbat ki zaban samjha tha main
tha ayaan vo raz-e-dil jis ko nihan samjha tha main
sun raha huun apni ḳhamoshi ka charcha ku-ba-ku
thi fughan vo bhi jise zabt-e-fughan samjha tha main
aarzi sa aks tha ik iltifat-e-dost ka
jis ko nadani se aish-e-javedan samjha tha main
tum ne ankhen pher liin mujh se to ye mujh par khula
ḳhar-zar-e-zindagi ko gulistan samjha tha main
vo bhi nikle barq-o-bad-o-baghban ki milkiyat
chaar tinke jin ko apna ashiyan samjha tha main
kar saken ‘darshan’ na vo bhi arz-e-hal-e-arzu
jin nigahon ko mohabbat ki zaban samjha tha main
Leave a Reply