khanDar ye phir basane ka irada hi nahin tha
badan men lauT aane ka irada hi nahin tha
shikam ki aag ne bailon ko hankna sikhaya
vagarna hal chalane ka irada hi nahin tha
vo apne bheḌiyon ko sair par laaya tha ban men
ghazalon ko Darane ka irada hi nahin tha
kaha tha ta.eron se peḌ ko dimak lagi hai
kisi ko azmane ka irada hi nahin tha
ḳhabar kab thi ki ankhen os barsane lagengi
tujhe varna jagane ka irada hi nahin tha
main tere saath uḌta phir raha tha asman men
ḳhuda ko bhuul jaane ka irada hi nahin tha
sadi main ne tamannaon ko bal-o-par diye the
magar un ko uḌane ka irada hi nahin tha
Leave a Reply