aaj sun li hai mire ahbab ne meri ghazal
aaj apni manzil-e-maqsud par pahunchi ghazal
jab suna.i aap ne to ba-adab sun li ghazal
aur jab koshan hua to be-dhaḌak kah di ghazal
ye lab-o-ruḳhsar ye chehra tera pur-nur sa
tujh ko kya dekha laga jaise koi dekhi ghazal
kal jo dekhi thi ghazal to dil ki dhaḌkan ruk ga.i
aaj jo dekhi ghazal to ban ke dil dhaḌki ghazal
zulf uula chashm saani qafiya ruḳh lab radif
rab ne tum ko hai tarasha ya koi likkhi ghazal
qafiya ruTha hua tha munh chiḌati thi radif
tum kya ruThe raat bhar thi raat bhar ruThi ghazal
tahat men jab bhi paḌhi to ban ke nikli inqalab
jab tarannum men paḌhi to jhuum uThi meri ghazal
hain ye asnaf-e-adab jan-e-suḳhan-dan sha.iri
nazm meri saans hai aur zindagi meri ghazal
kah uThe hain sab suḳhnavar ahl-e-mahfil ye ‘shahab’
jo tere lab se hui aḳhir vahi Thahri ghazal
Leave a Reply