fana ka hosh aana zindagi ka dard-e-sar jaana
ajal kya hai ḳhumar-e-bada-e-hasti utar jaana
azizan-e-vatan ko ghuncha o barg o samar jaana
ḳhuda ko baghban aur qaum ko ham ne shajar jaana
urus-e-jan naya pairahan-e-hasti badalti hai
faqat tamhid aane ki hai duniya se guzar jaana
musibat men bashar ke jauhar-e-mardana khulte hain
mubarak buz-dilon ko gardish-e-qismat se Dar jaana
vo tab-e-yas-parvar ne mujhe chashm-e-aqidat di
ki sham-e-gham ki tariki ko bhi nur-e-sahar jaana
bahut sauda raha vaa.iz tujhe nar-e-jahannam ka
maza soz-e-mohabbat ka bhi kuchh ai be-ḳhabar jaana
karishma ye bhi hai ai be-ḳhabar iflas-e-qaumi ka
talash-e-rizq men ahl-e-hunar ka dar-ba-dar jaana
ajal ki niind men bhi ḳhvab-e-hasti gar nazar aaya
to phir bekar hai tang aa ke is duniya se mar jaana
vo sauda zindagi ka hai ki gham insan sahta hai
nahin to hai bahut asan is jiine se mar jaana
chaman-zar-e-mohabbbat men usi ne baghbani ki
ki jis ne apni mehnat ko hi mehnat ka samar jaana
sidhari manzil-e-hasti se kuchh be-e’tina.i se
tan-e-ḳhaki ko shayad ruuh ne gard-e-safar jaana
Leave a Reply