baiTha nahin huun saya-e-divar dekh kar
Thahra hua huun vaqt ki raftar dekh kar
ham-mashrabi ki sharm gavara na ho saki
ḳhud chhoḌ di hai shaiḳh ko mai-ḳhvar dekh kar
kya dekhta hai ai dil-e-mushtaq-e-did ab
ham ne to kah diya tha ḳhabar-dar dekh kar
aane lagi hai ishq ko ghairat par apni sharm
shayad tiri nigah ko bezar dekh kar
kya kya fareb-e-aql diye un ki bazm ne
mere junun ko mahram-e-asrar dekh kar
kya jaane bahr-e-ishq men kitne hue hain gharq
sahil se sat.h aab ko hamvar dekh kar
duniya ki zindagi ka tasavvur hai sub.h-e-hashr
jaaga huun ḳhud ko ḳhvab men bedar dekh kar
hain aaj tak nigah men halanki aaj tak
dekha na phir kabhi unhen ik baar dekh kar
dast-e-vafa se daman-e-dil ko chhuḌa liya
ahl-e-havas ne ishq ko dushvar dekh kar
‘bismil’ tum aaj rote ho anjam-e-ishq ko
ham kal samajh ga.e the kuchh asar dekh kar
Leave a Reply