sochne ka bhi nahin vaqt mayassar mujh ko
ik kashish hai jo liye phirti hai dar dar mujh ko
apna tufan na dikha.e vo samundar mujh ko
chaar qatre na hue jis se mayassar mujh ko
umr bhar dair-o-haram ne diye chakkar mujh ko
be-kasi ka ho bura le ga.i ghar ghar mujh ko
shukr hai rah gaya parda miri uryani ka
ḳhaak kuche ki tire ban ga.i chadar mujh ko
chup rahun main to ḳhamoshi bhi gila ho jaa.e
aap jo chahen vo kah den mire munh par mujh ko
ḳhaak chhana kiye ham qafile valon ke liye
qafile valon ne dekha bhi na muḌ kar mujh ko
aap zalim nahin, zalim hai magar aap ki yaad
vahi kam-baḳht satati hai barabar mujh ko
inqilabat ne kuchh aisa pareshan kiya
ki sujha.i nahin deta hai tira dar mujh ko
jur.at-e-shauq to kya kuchh nahin kahti lekin
paanv phailane nahin deti hai chadar mujh ko
mil ga.i tishnagi-e-shauq se fursat ta-umr
apne hathon se diya aap ne saghar mujh ko
ab mira jazba-e-taufiq hai aur main ‘bismil’
ḳhizr gum ho ga.e raste pe laga kar mujh ko
Leave a Reply