zindagi mujh ko miri nazron men sharminda na kar
mar chuka hai jo bahut pahle use zinda na kar
haal ka ye dukh tire maazi ki tujh ko den hai
aaj tak jo kuchh kiya tu ne vo a.inda na kar
to bhi is tufan men ik ret ki divar hai
apni hasti bhuul kar har ek ki ninda na kar
sau-guna hote hue bhi jis ne baazi haar di
aisi buzdil bhiiḌ ka mujh ko numa.inda na kar
jism kya shai hai ki meri ruuh tak jal ja.egi
aag men apni jala kar mujh ko tabinda na kar
Leave a Reply