Zindagi Dard Ka Nisab Rahi

zindagī dard kā nisāb rahī

aur kabhī naġhmagī kā baab rahī

ḳhuun ālūd the sabhī chehre

maiñ magar surḳhī-e-gulāb rahī

niile paanī pe mun.akis jo hue

maiñ vo mahtāb-o-āftāb rahī

vo muḳhātab nahīñ huā mujh se

phir bhī maiñ markaz-e-ḳhitāb rahī

nafratoñ ke jahān meñ ‘raziya’

maiñ mohabbat kā intisāb rahī

harf shaa.e na ho sake mere

vāris-e-sāhab-e-kitāb rahī

Leave a Comment