zehn men kuchh qayas rahta hai
nisf ḳhali gilas rahta hai
har taraf rang-o-nur hai phir bhi
shahr kyuun kar udaas rahta hai
muflisi men bhi haath phaila.en
kuchh to izzat ka paas rahta hai
amn ka qatl ho gaya jab se
shahr ab bad-havas rahta hai
tez raftar zindagani men
hadisa as-pas rahta hai
daur patthar ka phir se lauT aaya
ab jahan be-libas rahta hai
ham faqiron ka tarz hai ‘sabir’
tan pe saada libas rahta hai
Leave a Reply