• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Zat Ke Gard Fasilen Hain Riyazat Malum

Zat Ke Gard Fasilen Hain Riyazat Malum

zaat ke gard fasilen hain riyazat ma.alum

sirf jannat ke liye hai to ibadat ma.alum

ye bhi ik shan-e-rahimi hai tiri izz-o-jal

na to manzil ki ḳhabar hai na masafat ma.alum

vo bhi ik shaḳhs hai saada sa magar pechida

na khuli us ki mohabbat na adavat ma.alum

zaḳhm-e-dil ho ga.e ḳhandan vo mulaqat hui

hai mujhe aap ka andaz-e-ayadat ma.alum

vahi qatil vahi munsif vahi aini shahid

adl aur aap ki mizan-e-adalat ma.alum

janch ka hukm haqa.eq ki hai parda-poshi

un ko pahle se hain asbab-e-baghavat ma.alum

aise-vaise hue is shahr men kaise kaise

ahl-e-dastar ki hai ham ko najabat ma.alum

ḳhun-e-nahaq se hain buniyaden bhari mahlon ki

qatl hote the jo hoti thi siyadat ma.alum

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ahmad-nadeem-qasmi

Ye Bhi Kya Chaal Hai Har Gam Pe Mahshar Ka Guman

poet

Honge Dil-O-Jigar Mein Nishan Dekh Lijiye

Har Nae Sal Naya peD Laga Deta Hun

poet

Andar Ka Aadmi Kabhi Bahar Na Aa Saka

farah-iqbal

Zara Si Raat dhal Jae To Shayad Nind Aa Jae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet