zarf to dekhiye mere dil-e-shaidai ka
jam-e-mai ban gaya ik mast-e-khud-arai ka
ji men aata hai ki phulon ki uda duun khushbu
rang uda laae hain zalim tiri raanai ka
main abhi un ko shanasa-e-mohabbat kar duun
kaash mauqaa to mile un se shanasai ka
bhuul jaoge yahan aa ke tum apna aalam
tum ne dekha nahin gosha miri tanhai ka
tum ne kaaba to banaya hai ‘sharaf’ ke dil ko
hukm is kaabe men do sab ko jabin-sai ka
Leave a Reply