zara si der ko chola badal ke dekhta huun
hisar-e-zat se bahar nikal ke dekhta huun
mo.amla na sahi ek tajraba hi sahi
tumhare saath bhi do-gam chal ke dekhta huun
nahin hai ilm mujhe aaj ki haqiqat ka
magar ajiib huun main ḳhvab kal ke dekhta huun
mujhe mila hai pas-e-marg zindagi ka suragh
hayat men bhi manazir ajal ke dekhta huun
Leave a Reply